Teri aankhon main, mere dil ka nakhsa ho bhi sakta hai

 

Jise deewar samgha hai wuh, wuh rasta ho bhi sakta hai

 

Zamana gour se daikhey, jisey is ne khuda samjha hai

Woh is k hath ka pather tarasha ho bhi sakta hai

 

**Nazur se door re ker bhi, kisi soch main rehna

Kisi k paas rehney ka tareeqa ho bhi sakta hai

 

Woh apni sard mehri se, mughey hud main to rakhta hai

Mera hud se guzurney ka irada ho bhi sakta hai

 

Bhari duniya ka meila sath ho to koun si mushkil

Mager aik shakhs meley main akela ho bhi sakta hai

 

Ye seedhi rah per chalna, kahan se seekh aye ho

Ye rasta doosti ka hai, ye terra ho bhi sakta hai

 

Main apney jism o jaan ko sath rehtey daikh ker samjha

Nibhana ho jisey mushkil woh rishta ho bhi sakta hai

 

uchalta, thokarain khata howa paani ka aik dharaa

Tere dil tak pohanchney ka bahana ho bhi sakta hai

 

Nikal ker bund kamrey se zara baazar main aao

Ager tum daikhna chaho, tamasha ho bhi sakta hai