Ferz Kero
Ferz kero ham ahl e wafa hon , ferz kero
dewanay hon
ferz kero yay donon batain jhooti hon
afasanay hon
ferz kero yay jee ki bipta , jee say jor
sunayi ho
ferz kero abhi aur ho itni , adhi ham nay
chupayi ho
ferz kero tumhain khush kernay kay
dhonday ham nay bahanay hon
ferz kero yay nain tumharay sach much kay
may khanay hon
ferz kero yay rog ho jhoota, jhooti peet
hamari ho
ferz kero is peet kay rog main sans bhi
ham pay bhari ho
ferz kero yay jog bejog ka ham nay dhong
rachaya ho
ferz kero bus yahi haqeeqat baqi sab kuch
maya ho
dekh meri jaan kah gyay baho, kon dilon
ki janay " hoo"
basti basti sahra sahra , lakhon kerain
dewanay " hoo "
jogi bhi jo nager nager main maray maray
phirtay hain
kasa liyay bhaboot ramayay sab kay
dawaray phirtay hain
shayer bhi jo meethi bani bol kay man
hertay hain
benjaray jo onchay damon jee kay soday
kertay hain
in main sachay moti bhi hain , in main
kanker pather bhi
in main athlay pani bhi hain , in main
gahray sager bhi
gori dekh kay agay berhna , sab ka jhoota
sacha " hoo "
dobnay wali doob gyee wo ghera tha jis ka
kacha " hoo "