Ek wahama tha dil mein
shyad khabi miloo tum
kuch daar ruk k poochoo .....
beatien dinoon k mosum
awaz mein ho larzish
ankhoon mein ek tajasus
mazee ka koe lamha
shyad attuck gaya hoo...
sub bhoul kar bhi shyad
kuch yaad a gaya hoo....
phir mea tumhey batoon
apne khoshi ki baatien
har dhuk chupa k dil mein
asoodegee ki baatien
woh channd chudewein ka
taaron bharee woh raatien...
dilkash haseen shaamein
masoom Wardatein...........
woh pyaar ka tasevoor
aur bandagee ki baatien
woh roz roz marna
aur zindage ki baatien...
tum dhuk sae muskoraoo
dheray sae pas aaoooo.....
sir ko jhouka k apnea
chup chaap lout jaooo!
phir mea muskoraoon
mann kay deaiey bojhaoon
dhuraoon apnea dil mein
taleqq se haqeqaat