Hamen tum saath paao gay.......
Mujhey bas itnaa kehnaa hai
Kabhi main yaad aaoon tou
Kabhi tanhaai ki raatein
Tumhein zyada sataaen tou
Kabhi titli naa boley tou
Aur jugnoo lout jaaye tou
Kabhi jab dil bhi bhar jaaye
Koi jab sunn na paaye tou
Agar sab dost saathi bhi
Jo tum se rooth jaayen tou
Kabhi jab khud se larr larr kar
Thakan se choor ho jaao
Kabhi chahtey huey bhi khud akeley
Ro naa paao tou
Apni aankhon ko band karna
Mujhey aawaaz de denaa
Aur phir merey tasawwur se
Jo chaaho batein keh denaa
Merey kaandhey pe sir rakh kar
Tum jitnaa chaaho ro lena
Phir khud mein jab loat jaao tou
Us he duniya chaley jaanaa
Magar bas itna kehnaa hai
Ke jab bhi dukh ya khushiyon mein
Hamen dil se pukaaro gay
Hamen tum saath paao gay.......