Hazor aap ka bhi
ihtram karta chaloon
Idhar say guzra tha soocha
salam karta chaloon
Nigah-o-dil ki yehi aakhri
tamanah hai
Tumhari zulf kay sai main
shaam karta chaloon
Unhey yeh zid kay mujhey
dekh kar kisi ko na dekh
Mera yeh shook keh sab say
kalam karta chaloon
Yeh merey khaboon ki dunya
nahin sahi laikin
Ab aa gya hoon to doo din
kyam karta chaloon
Aik Ghazal
Aap ko dekh kar dekhta reh gya
Kya kahoon or kehnay ko kya reh gya
Aatey aatey mera naam sa reh gya
Us key hontoon pay kuch kampta reh gya
Woh merey samney he gya or main
Rastey ki tarah dekhta reh gya
Jhot walay kahein say kahein barh gaiy
Or main tha kay saach bolta reh gya
Aandhion kay iraday to achhey na thay
Yeh diya kaisey jalta hoa reh gya